728*90 ads
Responsive Ads Here

22 Jun 2016

Android Mobile Ko Root Ksie kare : Android Apps Ki Madad Se

Hello Friends, Aap Android Mobile Use karte hi Honge. Aur Aapke Mobile Phone Ko root karne Ke bare Me bhi Suna Hoga. Mobile Ko root karne se Usake Future Badh Jate hai. ya aap bhi apne android mobile ke pure features ko use karna chahte hain aur apne android smartphone ko root karna chahte hain? Agar aapka jawab hai ‘YES’ to aap ekdum sahi jagah hai. Bahut se log android mobile ko root karne se darte hain. Kyuki unhe aisa lagta hai ki android root karne se unke mobile ko problem ya fir mobile kharab ho sakta hai. Lekin dosto aisa kuchh bhi nahi hai. Rooting ek bahut hi simple aur safe process hai.

Android Smartphone ko Root krna aapne toh suna hi hoga agar nahi suna hai toh aap iss post me apne Android Smartphone ko Root Krna Sikh jayenge. Android phone ko root krne ke baad usme bahut se changing aa jati hai . Aap apne android phone ko apne tarike se customize (Use) kar skte hai. Aap phone ke Jad(“Root”) tk ja skte hai aur apne phone ke sath kuch bhi kar skte hai.

Android Mobile Ko Root Karne Ke fayde Kya hai ?

  • Main Advanatage – Aap apne android mobile me koi bhi change kar sakte hain.
  • Apne mobile ki internal memory increase kar sakte hain, Ram ko increase kar sakte hain.
  • Rooting ke bad aap apne apps ko sd/Memory me move kar sakte hain.
  • Apne mobile ke performance ko achha kar sakte hain aur battery life ko increase kar sakte hain.
  • Aap apne android par custom ROM install kar sakte hain jiski madad se apne purane phone par new android version install kar sakte hain.
Note :: Android Mobile Ko Root karne Ke Kuchh Nuksan bhi hai. ye padhe.
  • Main disadvantage – Aapke mobile ki Warranty samapt ho jayegi.
  • Aapka mobile rooting ke wakt brick ho sakta hai aur fir uske bad kabhi bhi on nahi hoga.
  • Rooting ek illegal process hai aur rooting se aapki warranty samapt ho jati hai.
Android Mobile Ko Root Karne Ki Android Application : Top 5

1-Framaroot

How to Root android Using Framaroot app

  • Sabse pehle framaroot app ko install kare aur open kare.
  • Ab aapko list me se koi bhi Exploit choose karna hai. (Aap koi bhi exploit choose kar sakte hain one by one)
  • Ab bas aapko root button par click karna hai aur aapka mobile root ho jayega!

2-Vroot

 Ye app bhi one click root app hai. Jab aap apne mobile ko is app se root karenge to aapka mobile ek bar reboot hoga. Isiliye ise hamne 2nd number par rakha hai.  Aap yaha se Vroot ke supported devices ki list dekh sakte hain. So, ye bhi ek bahut hi badhiya app hai. 

3-Z4Root

Ye bhi ek rooting app hai aur ye bahut se devices ko support karta hai. Aur agr aap chinese android smartphone use kar rahe hain to ye aap aapke liye bilkul perfect hai. Is s app me root karne ke 2 methods hain pehla temporary method aur dusra permanent method. Agar aap temporary root karte hain to mobile restart karne ke bad aapka mobile unroot ho jayega. Permanent root karne par aapka mobile permanently root ho jayega.

4-KingRoot 

How to Root android with KingRoot

  • App ko open kare.
  • Ab aapko ek option dikhayi dega mobile Root karne ke liye. Just click on that.
  • Bas aapko kuchh seconds wait karna hai aur aapka mobile root ho jayega.

5-Towel Root

How to root Android using Towel Root

  • App ko open kare.
  • Ab aapko ek option dikhayi dega Make It Ra1n , uspar click kare
  • Kuchh seconds wait kare aur uske bad aapka mobile root ho jayega.
Is tarah Aap Kisi Bhi Android Mobile - Smartphone Ko Android Apps Ki Madad Se ( withaut PC ) Root kar Sakte hai. 

No comments:

Post a Comment

कोमेंंट मे आपका प्रश्न रखे. - URL- Link मत डालना.